1.
Mere Ashqon ne Mujhe sambhaal rakha hai.
Dil-e-murdaaar ko teri yaad ne zinda rakha hai.
kahin tu kisi shab aakar na punch bethe deewane ka naam
isi fikr mein apna naam abhi tak yaad rakha hai.
2.
Nazar hi se na guftgu kar, Labon se bhi kaam le, ahsan hoga.
Zamane ne samjha jo but tumhe, hum par butparasti ka ILZAM hoga.
3.
Na samjhi ki humne jo tujhe bewafa kaha.
Tu ne khud ko nahin, hum ne tujhe khuda kaha.
Tune sada apni zulf ko zulf humne use ghata kaha.
Hasil jo hua, hum ne tajarba zamaane ne saza kaha.
4.
Ajeeb kashmakash hai zindagi,maazra kuch yun hai.
dard-e-dil ki wajah bhi tu hai dava bhi tu hai.
5.
Dard ki shiddat se ahsas-e-dard jaata raha, Ishq ki jab intiha ho gayi.
Ruh se teri sada aane lagi, jaan meri jism se jab juda ho gayi.
6.
saath le yakin apna, badah kadam, rah mushkil sahi.
Kashti sada mehfooz hai sahil par,jo uski manzil nahin.
7.
Ta umar zulfon ki Qaid mein rakhne ki shart uski,
Kyon kar manzoor hoti, fitrat apni awaara thehri.
Usko apni murdadili pe naaz
Zindadili se apni dosti gehri.
8.
kyon kar koi naam du tujhe, Bin naam Ishq mera kya zulm hoga.
Qamar kahun to zyadati hogi tujh par, Khuda kaha to kufr hoga.
9.
Zindagi ghuzri Ghurbat mein dilkash the jo fannkaar yahan,
musibat mein rahe, banaya khud alag raasta apna.
Aksar baad wafaat milti hai shohrat unko,
Murdaparast Quom se hai waasta apna.
10.
Hai Ishq mey se mujhe ya main ishq mein hoon.
Wajah jo bhi ho shukr hai madhoosh to hoon.
Izhaar-e-mohabbat ka andaz apna juda nikla.
Kehna tha ishq mein hoon,keh diya ishq main hoon.
11.
bund ban kar aab barasta hai falak se,
fizaon mein bhi khushnuma garmi hai.
naam mera liya hai fir aaj uske aks ne,
isiliye mehboob ne gusse se zulf jhatki hai.
12.
kabhi raat mein uski baat hoti hai.
kabhi uski baat mein raat hoti hai.
kaha bewafa kisi ne use,maine bawafa suna.
yehi khata mujse har baar hoti hai.
13.
Juda Hain Sakhshiyatein hamari isi liye hum Juda hai.
Dil todna lagta hai gunaah hum ko par Shoq uska hai.
Nigle hai ashq sada humne, ashq nikle ek arsa hua.
Wahan har baat par dariya-e-ashq behta hai.
14.
kabhi lab pe sirf love, ashq mein bhi ishq dikhta hai.
kabhi pyaar bekaar aur mohabbat ki sohbat bhi buri maloom hoti hai.
nazariya badalta hai apna hi ya khud ahsas bhi badalta hai.
mehfil mein jo mahez do lafz, tanhai mein jazba wahi pakeezah banta hai.
15.
is mashghul shaher ka roshan din veerana lagta hai.
mehfil mein hai tanhai, tanhai mein sukun milta hai.
yeh soch kar dil behla rahe hai kab se.
har sitare ko qamar kahan milta hai.
16.
Apne Ishq ki taseer na shola na shabnam
Khushi mein aankh geeli ghum mein bhi nam.
17.
Talab mey ki jagti hai , nazar meri teri nigah to dhoonti hai.
Kanpe zara jo lab tere, wadi-e-ishq mein khamoshi gunjhti hai.
18.
dar par woh aayega kisi shab koi aahat hogi.
aarzoo yeh itni gehri,isko sochna meri aadat ho gayi.
19.
Ishq ko baandhna maqsad nahin nikah ka.
kaam hai yeh mehboob ki nigah ka.
20.
Talash-e-sukun mein thak gaye ab, Kadam itna chale.
Ab to zindagi ka shikwa karenge maut se milke gale.
21.
maan leta mein uski baat ke usko ishq nahin mujhse.
agar naam lete hue mera, lab uske na kaamnpe hote.
22.
Daur-e-taraqqi, daur-e-masrufiyat mein hue paida apna muqaddar hai.
Tujhse milne ki aas kaise karun, jab ke khud se milne ka waqt muqarrar hai.
23.
samajhta hai woh uski jhalak ko, uske shaher mein, uske dar par aaye hai.
Khwab mein dekha tha paresha usko,sach na ho kahin, isi darr se aaye hai.
24.
khamoshi se chhod gaya shaher woh, fir bhi uski shaam-o-saher wahi hai.
mahez shaher badla hai nasamajh, mera dil wahi hai tera ghar wahi hai.
25.
ishq bemaza hai seene mein aashiq ke,agar gham na ho.
Tanhai mein na mile sukun,dard mein apnapan na ho.
26.
Larazta hai Takht-e-shahi kisi ki uff se.
nazdeek uske ashq apne mahez pani hai.
Zulm bhi uska ek ahsan hai hum par.
dard se apni aah bhi nikle to gustakhi hai.
27.
Yaad teri zara dhundli hui to usey ashq se dho kar saaf kar liya.
Ek pal zubaan ne bewafa kaha, agle pal dil ne maaf kar diya.
28.
Tu ne be wajah Hansi mein jhupaye hai jo ashq, aankh tak aane de.
Sochta hoon dikhao zakhm jo tere ishq mein mile hai, magar jaane de.
29.
dukh deti hai garam ret ab, mujhe apne watan ki fiza ki zaroorat hai.
kaise apna manu,is shaher ko jahan ghiza ke liye bhi visa ki zaroorat hai.
30.
Phalna phoolna jo chaha maine.
Na Phal Na phool paya maine.
31.
Khudaya muqam aisa na mohabbat mein aaye.
Jab yaad mehboob ki mahez fursat mein aaye.
Chen-o-sukun kaise koi us ibadat se paye.
Yaad khuda ki jab sifr ghurbat mein aaye.
32.
Iss ada se dil toda hai , bewafai ko ek naya naam diya hai.
Woh mere Qabil nahin, saheli ke haath yeh peghaam diya hai.
33.
Jiske liye humne usolon ko toda, wahi aaj usolon ka sabak deta hai.
ajeeb ittefak hai sab ko shikwa gila usi se hai, jo zindagi ko sabab deta hai.
34.
hota Insaf jahan mein to Sard raat mein shaher ka nazara yun na hota.
Kutte ko naseeb hai garam bistar, mazdoor hai sadak par akhbar par soya.
35.
Toota hai dil aur dard bhi hua hai,
Fir bhi jaane kyon yeh khayal aaya hai.
hasane ka farz jisne nibhaya tha kal,
Haq hai usko jo aaj rulaya hai.
36.
Ae Khuda, mere gulistan-e-hind ko kya ho gaya.
Ghurbat se tha parhez, abhi gharib se ho gaya.
37.
Zalim bana hai mazloom, Mujrim hakim ho gaya.
aankh khuli hai beshaque, bas zameer so gaya.
Written By : Mohd Atif (Surprised? Always expect the unexpected).
very good, keep going!
ReplyDeleteYe jo dard labo pe aaya h,
ReplyDeleteYe uski kashish h ya kissa-e-aam