Duniya mein aaye bas Nek dil aur haunsla le kar
Bachpan mein nikle kitabon ki jaga hath mein kasla le kar
Kismat ne kuch ulta khel khela
ladakpan mein hi zimmedariyon ne ghera
Kismat se badla aap ne fir yun liya.
Budhape mein jawani ka haunsla dikha.
Manzil door thi, Jaldi bhi jaana hai.
Kashti bhi tooti thi, toofan bhi aana tha.
Chattan si himmat thi, pukhta irada tha.
Aur jaana tha toh bas jaana tha.
Na shikayat ki kabhi, na jataya kabhi,
Na khud gharzi, Na Aalas zara bhi
Sabke saath insaf, Khud le kar pareshani.
Jisne sataaya us se bhi muhayede ki koshish sada ki.
Mehnat aur insaf ki mehz baatein karne walon ne
Naam apna makhmal par fakhr se likhwaya.
Dhoondha bahut aapka naam fehrist mein.
Dekha toh paseene se likha hua mitti par nazar aaya
ilm kitaabon se lete toh mehz zubaan pe aata
Tajarba zindagi ka tha toh Qirdar mein aaya.
Toofan se bacha kar kashti, kinara pe chhod gaye.
Haq ada kiye apne, jald hi laut gaye
Ped laga kar, saaye mein bethne se pehle hi laut gaye.
Yeh Malaal hamare liye ta-umar ke liye chhod gaye.
Befirk the hum, Abbu hi muhafiz the, rehbar the.
Adhoor ho ho gaye ab hamesha ke liye, Aap the toh poore the.
Ghar ke gade ki june jaise aap the.
Kashmakash mein hai Kis simt jaayein, kab aur kaise jaayein.
Dhoondh rahe hai, Abbu ke pau ke nishaan shayad nazar aaye.
Wada karte hai, Insha Allah saath rahenge,
Aapke hunar, sabak, taqeed aur falsafe honge
Aapke kaam aur Shakshiyat zinda rakhenge
Miss you Abbu
No comments:
Post a Comment